>>>>>>>>>>Mera Parichay<<<<<<<<<<<
Maati ka tann, Chanchal sa mann
Shan bhar jeevan - Mera Parichay...
Kalam hai bandhu, sakha siyaahi
Aasmaan sa kora kaagaz
Shabd baraste h varsha se
Aur Saawan sa hai Antar-mann
Maati ka tann, Chanchal sa mann
Shan bhar jeevan - Mera Parichay...
Hai kathor yah kad kaathi par
Hun komal mai har swabhav se
Dil h mera kamal-pushp sa
Jal-tarang jaysi yah Dhadkan
Maati ka tann, Chanchal sa mann
Shan bhar jeevan - Mera Parichay...
No comments:
Post a Comment